Yaqin Hai Hamko Bhi Lekin

bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai,
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai,
tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai,
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai,
sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani,
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai.