Showing posts with label hindi shayari. Show all posts
Showing posts with label hindi shayari. Show all posts
hindi shayari
Hamari zindagi kya hai
Hamarai Zindagi Kya Hai Mohabbat Hee Mohabbat Hai, Tumhara Bhi Yehi Dastoor Ban Jaye Toh Acha Ho.
Insaan hoon main bhi
Ab Khatam Bhi Karde Imtihano’n Ka Silsila, Insaan Hoon Main Bhi Mujhe Bhi Takleef Hoti Hai.
Koi sulah kara Dey
Koi Sulah Karaa Dey, Zindagi Ki Uljhano Se, Bari Talb Hai Humein Bhi Aaj Muskuraane Ki.
Koi zindagi ki azmaishon se guzra
Koi Zindagi ki Azmaishon Se Guzra, Koi Ishq Ka Rog Laga Betha. Koi Kalam Se Dard Likhne Laga, Koi Shayar Khud Ko Bana Betha.
Zindagi he meri saheli hai
Char Din Mere Sath Kheli Hai, Zindagi Hee Meri Saheli Hai.
Ab kholne se darta hun
Lambi Baatein, Wazahatein Nahi Ab Mukhtasir Si Karta Hun, Kitaab e Zindagi Duniya Ke Aagey Ab Kholne Se Darta Hun.
Itna na yaad a
Iss Zindagi Mein Itni Faraagat Kissey Naseeb, Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jayein Hum.
Be mathlab ki zindagi
Be-Matlab Ki Zindgi Ka SilSila Khatm, Ab Jis Tarah Ki Duniya Uss Tarah Ke Hum.
Kuch Dard hai
Khamoshiyan Kar Dein Bayaa’n Toh Alag Baat Hai, Kuch Dard Hain Jo Lafzon Mein Utaare Nahi Jaate.
Teri kami hai
Meri Aankhon Mein Aansu Nahi Bus Kuch Nami Hai, Wajah Tu Nahi Bus Teri Kami Hai.
Bharose ki saza hai
Yeh Jo Doobi Hain Aankhen Ashko Ke Dariya Mein, Ya Mati Ke Insaanon Per Bharose Ki Saza Hai.
Main dil se roungi
Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega, Main Dil Se Ro’ungi Aankhon Se Muskuraungi.
Ghabra k zindagi k gham se
Ghabra K Zindagi K Gham e Laazawal Se, Hum Roo Diye Lipat Ke Tumhare Khayal Se.
Roya hoon yun ke
Iss Darje Aehtyaat Se Likha Hai Khat Ussey, Roya Hoon Yun Ke Harf Bhi Geelay Nahi Huye.
Phir Teri Yaad mein
Phir Teri Yaad Mein Aankhen Huyi Shabnam Shabnam, Phir Wohi Neend Na Aane Ke Zamane Aaye.
Luta ke pyar ki daulat
Luta Ke Pyar Ki Daulat, Khareede Khoon Ke Aansu, Mili Jo Ishq Mein Hum Ko, Woh Jageer Toh Dekho.
Tujhe ehsas tab hoga
Jab Bikhare Ga Tere Ruksaar Pe Teri Aankh Ka Pani, Tujhe Ehsas Tab Hoga Mohabbat Kissay Kehte Hain.
Meri aankhon ki nami
Na Jaane Kisko Pasand Aa Gayi Hai Meri Aankhon Ki Nami, Main Hansna Bhi Chahun Toh Palkein Bheeg Jaati Hain.
Subscribe to:
Posts (Atom)