Showing posts with label dard shayari. Show all posts
Showing posts with label dard shayari. Show all posts

dard shayari

Hum to kuch der hans lete hein

Hum to kuch der hans lete hein, Dil hamesha udaas rehta hai.

Har Lamha Har Pal Zindagi Ka

Har lamha, har pal zindagi ka ek dard hogaya, Mere ishq ka rung surkh tha, ab zard hogaya! 

Judaion Ke Zakhm

Judaion Ke Zakhm Dard-E Zindagi Ne Bhar Diye, Tujhe Bhi Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar A Gaya.

Ouse Pata Tha K

Ouse Pata Tha K Mujhe Ous Ka Muskurana Pasand Hai, Is Liye Ous Ne Jab Be Dard Diya Muskura Kar Diya.

Koi Gila Nahi Hai

Koi gila nahi hai mujhe kisi k be roth jane ka, Oujry huwe chaman ko to parindy be chor dete hai.

Wo batain chand ke sath gaye

Wo Raatain Chand Ke Sath Gayen Wo Batain Chand Ke Sath Gayen, Ab Sukh Ke Sapne Kya Dekhein Jab Dukh Ka Suraj Sar Par Ho.

Kitabon ki Tara hai wo be

Kitabon Ki Tarah Hai Wo Bhi, Alfaz Se Bharpur Magar Khamosh.

Mujhko Dhoondh Leta Hai

Mujhko Dhoondh Leta Hai Har Rouz Naye Bahane Se, Dard Ho Gaya Hai Waqif Mere Har Thhikane Se..

Ik ghazal mir ki parhta hai

Ik Ghazal Mir Ki Parhta Hai Parosi Mera, Ik Nami Si Meri Dewar Mai Aa Jaati Hai.

Suna hai zindagi imtihan leti hai

Suna Hai Zindagi Imtihan Leti Hai Faraz, Par Yahan Tu Imtihanon Ne Zindagi Le Li.

Paas jab tak wo rahe

Paas Jab Tak Wo Rahe Dard Thama Rehta Hai, Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah.

Socha Tha Batayenge Sab Dard Tumko

Socha tha batayenge sab dard tumko, Par tumne toh itna bhi na poocha ke khamosh kyun ho?

kya kahoon zindagi k baray main

kya Kahoon Zindagi k Baray main, Ek tamasha tha Umar bhar Dekha.

Band pinjaroon mein parinda

Band pinjaroon mein parindoon ko dekha hai kbhi, Aise sisaktey hain muhabbat k mujrim Saaqi.

Alfaaz hee sab kuch hote hain

Alfaaz Hee Sab Kuch Hote Hain Zara Sambhal Kar Bola Karo, Dil Jeet Bhi Lete Hain Aur Dil Cheer Bhi Lete Hain.

Dard ne jeet hee lia

Dard Ne Jeet Hee Liya Mujhko Aakhir, Ae Khamosh Shayad Tujhko Mujhse Pyar Hee Itna Tha.

Dard Aisa hai k rag rag hai mehsher barpa

Dard aisa k rag rag mai hai mehsher barpa, Or sukoon aisa k mar jane ko jee chahta hai.

Insaan hoon main bhi

Ab Khatam Bhi Karde Imtihano’n Ka Silsila, Insaan Hoon Main Bhi Mujhe Bhi Takleef Hoti Hai.

Main dil se roungi

Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega, Main Dil Se Ro’ungi Aankhon Se Muskuraungi.

Roya hoon yun ke

Iss Darje Aehtyaat Se Likha Hai Khat Ussey, Roya Hoon Yun Ke Harf Bhi Geelay Nahi Huye.