Baras Kar Khul Gaya Abr-e-Khizan Aahista

Baras kar khul gaya abr-e-khizaan aahista aashita,
Hawa me saans lete hain makaan aahista aashita.

Buhat arsa laga rang-e-shafaq  ma’dum hone me,
Hua tareek neela aasmaan aahista aashita.

Kahin patton k andar dheemi dheemi sarsarahat hai,
Abhi hilne lagi’n gi daaliyan aahista aashita.

Sama’aat me abhi tak aahaton k phool khilte hain,
Koi chalta hai dil k darmiyaan aahista aashita.

Badal jaaye ga mausam dard ki shaak-e-barhna me,
Nikalti aa rahi hain pattiyaan aahista aashita. 

Poet: -Ahmad Mushtaaq