Main nara-e-mastana

Main nara-e-mastana, main shouqi- e- rindana,
Main tashna kahan jaaon, pee kar bhi kahan jana.

Main souz-e-mohabbat hoon, main aik qayamat hoon,
Main ashk-e-nadaamat hoon, main gouhar-e-yakdana .

Main tahir-e-lahooti, main johar-e-malkooti,
Nasoot ne kab mujh ko is haal mein pehchana.

Main sham-e- farozan hoon, main aatish-e-larza hoon,
Main sozish-e-hijraan hoon, main manzil-e-parwana.

Kis yaad ka sehera hoon, kis chashm ka darya hoon,
Khud toor ka jalwa hoon, hai shakl qalbhana.

Main husn-e-mujassim hoon, main gesu-e-barham hoon,
Main phool hoon shabnam hoon, main jalwa-e-janana.

Main wasif-e-bismil hoon, main ronaq-e-mehfil hoon,
Ik toota howa dil hoon, main shehar mein veerana.