Tujhay samjhay ga koi aglay zamano wala,
Janay is dour main kaise tu bhattak aya hay.
Kuch zor e bayan mera mayub hay lagta,
Kuch sach ki farawani unko nahi bhaati.
Inhi khawaishon ki bheerr main,
Kahin ghum hay insaan, dhoondna.
Mohabbat beech k nahi taabeh,
Bara khud roo mizaaj hay iska.
Muhn se koi kisi ko na chahay bura kahe,
A'aza ki bol chaal bhi samjha karo kabhi.
Ab kitaabon main jee nahi lagta,
Betha insaan parhta rehta hoon.
Yahan dhoka rawaiyet hay,
Bano zahid peeye jao.
Wohi mazloom ab zamany main,
Jis k khanjar pe khoon taaza hay.
Janay walay se ye shikayat hay,
Kahay wo ja k bhi nahi jaata.
Way bas ek arooj ki khatir,
Hum ne kya kya zawal bhugtay hain.
Itna kehna k jitna sun pao,
Log muhn main zuban main rakhtay hain.
Sawal badlay jawab badlay,
Na zindagi k azab badlay.
Nahin ab dekhna hay kuch,
So shama khud bujha li hay.
Hay yaad sangdil mughalta ek,
Na chaah k bhi jis main zindagi ha.
Faida ayena badalne ka,
Khud ko badlo to baat ban jaye.
Hay ye khamoshi akhri harba,
Ab na maana to haar jaon ga main.
Bhoola hoa bhi hoon main,
bhatka hoa bhi hoon,
Hoon saans akhri main,
atka hoa bhi hoon.
Apni talash main nikla hoa tha main,
Warna teri gali aata nahi kabhi.
Miltay mohabbaton se hain jab log hum ko ab,
Dil muntazir hi rehta hay ochay se waar ka.
Ye to tay hay k tumhain marna ha,
Par ye socho kya abhi zinda ho?.
Bari mushkilon se sulaya tha jin ko,
Wo har khawab rim jhim ye phir se jagaye.
Bohat hi soch k likha hay teri bewafai par,
Khamoshi pehla misra tha, khamoshi akhri misra.
Kufar hay shayari main bhi,
Koi banda khuda karna,
Hum ne hi devta bana dala,
Ishq warna faqeer paisha tha.
Basaira darindo ka hay bastiyon main,
Chalo jungilon main karen phir thikana.
Aarzi mohabbat thi,
Mustaqil nibhai hay.
Meri hasrat tujhay maloom na ho gi aise,
Khud se ja dil laga aur bichar ja khud se.
Phir shifa yaab khaak ho koi,
Marz jab khud se dawa ban jaye.
Tumhaari tanqeed bhi zaroori hay,
Kahin khud main khuda na ho jaon.
Wo jo acha samjhtay hain mujhko,
Pochain unse jin k saath hoon main.
Kitni hasrat thi k anjaam badal jaye ga,
Akhri warq kahin baar palat k dekha.
Jisko dekha azab main dekha,
Aisi dozakh banai hay dunia.
Sach agar sab ayan jo ho jayen,
Koi kis muhn se, muhn dikhaye ga.