aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e,
is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e.
bām-e-mīnā se māhtāb utre,
dast-e-sāqī meñ āftāb aa.
har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho,
sāmne phir vo be-naqāb aa.e.
umr ke har varaq pe dil kī nazar,
terī mehr-o-vafā ke baab aa.e.
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb,
aaj tum yaad be-hisāb aa.e.
na ga.ī tere ġham kī sardārī,
dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e.
jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām,
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e.
is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī,
goyā har samt se javāb aa.e.
'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil,
ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e.
is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e.
bām-e-mīnā se māhtāb utre,
dast-e-sāqī meñ āftāb aa.
har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho,
sāmne phir vo be-naqāb aa.e.
umr ke har varaq pe dil kī nazar,
terī mehr-o-vafā ke baab aa.e.
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb,
aaj tum yaad be-hisāb aa.e.
na ga.ī tere ġham kī sardārī,
dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e.
jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām,
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e.
is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī,
goyā har samt se javāb aa.e.
'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil,
ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e.