15 Most Popular Sher Of Mirza Ghalib
Aashiq hoon pe maashooq-farebi hai mira kaam
majnuun ko bura kahti hai laila mere aage
Ishq ne ‘Ghalib’ nikamma kar diya
varna ham bhi aadmi the kaam ke
Ishq par zor nahi hai ye vo aatash ‘Ghalib’
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
Is nazaaqat ka bura ho vo bhale hain to kya
haath aave to unhe haath lagaaye na bane
Is saadgi pe kaun na mar jaaye ai khuda
ladte hain aur haath mein talwaar bhi nahi
Udhar vo bad-gumani hai idhar ye naa-tavaani hai
na poochha jaaye hai us se na bola jaaye hai mujh se
Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh pe raunak
vo samajhte hain ki beemar ka haal achchha hai
Etibar-e-ishq kee khana-kharaabi dekhna
gair ne kee aah lekin vo khafaa mujh par huye
Qat’a keejiye na taalluk ham se
kuchh nahi hai to adaavat hi sahi
Karz kee peete the may lekin samajhte the ki haan
rang laavegi hamaari faaka-masti ek din
Kahaan may-khaane ka darvaaja ‘Ghalib’ aur kahaan vaaiz
par itna jaante hain kal vo jaata tha ki ham nikle
Kaaba kis munh se jaaoge ‘Ghalib’
sharm tum ko magar nahi aati
Qaasid ke aate-aate khat ik aur likh rakhuun
mai jaanta huun jo vo likhenge jawaab mein
Kitne sheereen hain tere lab ki raqeeb
gaaliyaan kha ke be-mazaa na hua
Kee mire qatl ke baad us ne jafaa se tauba
haaye us zood-pasheemaan ka pasheemaan hona
Related Post