Gham-e-Yaar Ab Kahan

Bujha hai dil to Gham e yaar ab kahan tu bhi,

Besaan e naqsh ba deewar ab kahan tu bhi.


Baja K chashm e talab bhi hui tahee-keesa,

Magar hai rounaq e bazaar ab kahan tu bhi.


Hamen bhi kar e jahaN le gaya hai dur bahut,

Raha hai dar-pa-e-aazaar ab kahan tu bhi.


Hazar suratein ankhoN mein phirti rahti hain,

Meri nigaah mein har baar ab kahan tu bhi.


Usi ko waada faramosh kyun kahein ae dil,

Raha hai saahab e kirdaar ab kahan tu bhi.


Meri ghazal mein koi aur kaise dar aayye,

Sitam to yeh hai K ae yaar ab kahan tu bhi.


- Ahmad Faraz