Na deed hai na sukhan

Na deed hai na sukhan, ab na harf hai na payaam 
Koi bhi heela-e-taskeen nahi or aas bohat hai 
Umeed-e-yaar, nazar ka mizaaj, dard ka rang 
Tum aaj kuch bhi na pucho k dil udaas bohat hai